Monday, February 18, 2008

Falsafaye yud o nayood!

Falsafaye Asimi...a bit inspired by iqbal!

Amal se zindagi banti hai jannat bhi jahannum bhi

Yeh khaaki apni fitrat hai na noori hai na nari hai

- Iqbal

Khuda ne Malaika ko noor se banaya, aur Iblees ko naar se...magar insaan ko mitti se khalaq kiya...Farishte masoom hote hain....iblees khuda ka nafarmaan hai...magar insaan ko Allah ne uski nafs bakhshi hai...jo usse sahi ghalat ki taraf le jaati hai...Insaan ki zindagi ka daromadar uske aamaal pe hota hai...Farishte ghalat nahin kar sakte aur iblees sahi nahin kar sakta magar insaan ek aisa jaandaar hai jisko khuda ne sahi ghalat ki tameez bakhshi hai...Achchi bhali har tarah ki kismat khuda ki jaanib se hai...magar Allah ne insaan ko aazaadi di hai...uska zahen uske nafs ke saath chalta hai...Hota sab Allah ki marzi se hi hai magar...agar hum sirf yeh sochke chalen toh phir jannat jahannum kyun? kaise sawaab aur kaise gunaah...har aadmi itaat kar raha hai...yahan tak ke iblees bhi...magar gara aisa tha toh khuda ne yeh kainaat kyun khalq ki..kyun aadam ko khaak se jaandaar mein badal diya...wajah...ek zimni hukumat...ek khilafat...ek nizaam...ek sabaq malaika o iblees ke liye...

Quran mein hai..jab Allah ne farmaya ke, ke zameen pe apna nayab muqarrar karne waala hun, malaik ne kaha, ae Allah yeh tu kisko khalaq karne waala hai jo zameen pe fasaad barpa karega...magar Allah taala ne farmaya...jo mein jaanta hun woh tum nahin jaante...beshak Allah har cheez pe qadir hai!

Aur phir Allah ne farishton o iblees ko adam ke saamne jhukne ko kaha...malaik ba sujood hue magar iblees munkir hua...yahan ek baat saabit hoti hai ke aadam ki tarah iblees bhi nafs rakhta hai...aur achcha bura samajhta hai...kya woh sajda khuda ki marzi se nahin tha? beshak tha! magar humein Allah ke siwa kisi ke saamne nahin jhukna chahiye...phir aadam ke saamne kyun? Kyunke takhleeq e kainaat ka maqsad hai pabandiye hukum...

Agar bhala bura sab Allah ki jaanib se hai toh phir Aadam khuld se zameen pe kyun agaye kyun insaan ghar badar hua...sirf isi nafs ki wajah se jise Allah ne insaan ke liye aazaad choda hai...Allama Iqbal ka yeh shair...jiski tashreeh shayad hazaaron safhaat se bhi kahin ziada mein aaye...isi baat ki dalalat karta hai ki...insaan ki nafs aazaad hai...aur isiliye woh jo karta hai khud apni marzi se karta hai...Beshak Allah sab dekh raha hai...aur saza o jaza roze mehshar sabko dega...yahi hai qayamat ka raaz yahi hai falsfayae hayaat...

Khair...kuch nahanjaar yun bhi kehte hain...nafse insaani aur ghulamiye nafs ko dekhkar...

Takhleeq e kainaat ke dilchasp jurm per
Rota toh hoga aap bhi yaszdaan kabhi kabhi...
(beshak iss sher se baghavat ki boo aati hai...magar baat wahi hai..)

Nasle insaani aur uska wajood, uske aamal, uske ifkaar sabhi uski nafs ke mohtaaj o ghulam hain...woh wahi karta hai jiss janib nafs ishara karti hai...phir chahe woh dua e aabidi ho ya naghmaye kaafirana...!

Friday, November 24, 2006

think over it !!!!!!!!!!!!!!!

"same opinion doesn't give u right path u must know another side of coin"

ghor se suniye.............

milta tha sukoon jisko mulla ki azaan mein

masjid ke dareechon mein waiz ke bayaan mein

PM kirdaar kahan tera gaya ae qaume mohammed(PBUH)

muslim to jawaan rehta tha kafir ki nigaah mein

Wednesday, November 22, 2006

God stays in man's heart... may be but..........

"aadmi ka dil khuda ka ghar hota hai magar us mein shaitaan basta hai"
may be its gods residence but devil stays there.


yeh ghar shaitaan ne khuda se ta qayamat kiraye pe le liya hai. woh jaise chahe, jis tarah chahe us mein rehta hai. aur qabiz hone ki koshish karta hai. kuch log usse bhagane mein kamyaab hote hain aur zyaadatar nakaam. kamyaab log jannat mein jaate hein aur khuda ke kareeb hojate hain. nakaamyaab to bechare ghulam thehre jahan hank do chale jaayenge. yahi nakaam log apne malik ka hukum mante hain. haqeeqatan woh bhi begunaah hote hain. Aakhir hota to sab khuda ki marzi se hi haina. nakaam aur kamyaab dono ussi ka hukum mante hain to phir yeh bhed bhao kyun?? hum apni marzi se nahi sochte jo bhi sochte hain sab ussi ki marzi se hota hai. to phir hum gunaahgaar kyun??? iss kyun ka jawaab shayad hi kisi ke paas ho. kyunke issi kyun mein kainaat ka raaz dafan hai. aur uss raaz se anjaan rehna hi behtar hai jo hamien gumraahi ke andheron me phenk de. aakhir hai to sab ussi ki marzi. kya achcha, kya bura.....

mein bhala to kyun bhala? mein bura to kyun bura?

Aakhir aisa kyun?

kyun? think over it, n tell me........

Wednesday, November 01, 2006

learn new philosophy --- asimism

friends, i am very much interested in philosophy. And i have my own life ka funda. Be prepared for another man and another ism. After Aristotle the Great, Chanakya the Great, Karl Marx the Great it will be me in the future. So plzz be patiant and pardon my words. If somebody dont like my thinking plzz do post ur comment. i will welcome ur criticism.

this philosophy is almost a mixture of Islam, Hinduism, Christanity, Communism, secularism and socialism. it completely talks about the positive points, nothing negative.

Asim the Great